Monday, August 8, 2011

"karz teri jafaa kaa main adaa"


karz teri jafaa kaa main adaa kaise karun
tu hi bataa tujhse main wafaa kaise karun

jab apnone hi lutaa hai jee bhar ke mujko
main gairon se bhalaa gilaa kaise karun

tujh pe nisaar kiya thaa jism-o-jaan kabhi
ab teri barbaadi kii maiN duaa kaise karun

kahte hai sabhi tujhe bhulana hi munaasib
apne hii seeney se Dil ko judaa kaise karun

akele chalne kii aadat na rahi Diya ko ab
safar zindagi ka tay tere binaa kaise karun...!

No comments:

Post a Comment